tm se mila kal to dil may hua ek sound
aj khete ho ur file is not found
ab or kaho na tm but ya if
tm ho mere zindagi ki animataed gift
kon kheta hay k piyar may pakray jaengay
waqt anay pay bhai behan ban jaen gay
jab jab hamay piyas lagti hay
un k anay ki ass lagti hay
un ki dewange may hm hogay itnay dewanay
k har larki ki maa apni saas lagti hay
chandni chan se hoti hay sittaro k kia hoga
mohabbat ek se hogi to hazaroo k kia hoga ?
hm khuda se dua karte han
k ap jesa dost or na banae
ek cartoon jese cheez hay
kahi wo bhi comman na hojae
bewafa tm ho wafa dar hm bhi nahi
besharam tm ho sharam dar hm bhi nahi
piyar k is mor pay ak khetay ho shadi shuda ho
to kia hua darling kuwaray hm bhi nahi!
kon khata hay k mulaqat nahi hoti hay
roz miltay han magar bat nahi hoti hay
may chata ho tm ko isqadar
koi or mil jae to deko na mur kar
hathi ne kaha jakar hatni ki qabar par
zadqy jao tmhari patli qamar par
kal chodheye ki rat thi balti me tera aqs deka
or phir balti hila hila kar rat bhar tera raqs deka
na chaho kisi ko itna k us ki chahat hamari majbori ban jae
chaho kisi ko itna k tmhara piyar us ki zaroorat ban jae
zindagi may tm bohat agay jao gay
q k jaha bhi tm jao gay
sab kahen gay
chal bay chal agay chal
wo bhi kia din hua karte the
jab hm haseenao k galay mila karte thay
ye un dino ki bat hay jab hm do sal k hua karte tahy
zindagi to hm bhi je rahay thay
taqdeer hamari kharab nikli
taj mahal hm bhi bana saktay thay
mumtaz hamari bewafa nekliii
jawani k din chamkele hogay
or hussan k tewar nokelay hogay
hm izhar karnay may thoray dhele haogay
or un khath pele hogay
q hamesha kisi ki talash hoti hay
u dil ko kisi ki aas hoti hay
wo chand ko bhi to deko
wo bhi to tanha hay
phir bhi chandnii se roshan us ki raat hoti hay
ye ishq nahi asan bas itna samaj leje
ek inter net pay ana hay ya mobile utana hay
tm jab se mere zindagi may aye ho
ban k female
yar raha na ab kuch na post man
na hi koi email
khuda ne jab tuhay banaya hoga
confusion k moment aya hoga
kabhi monkey kabhi donkey bnana chaha hoga
end may dono ka mixture pasand aya hoga
chand k ghroor h k us k pass noor hay tu kia hua
muj hay bhi ghoor hay k mera dost langoor hay
ishq k samandar may ghota lagay ya
pani bohat thanda tha bahar nikal aya
ab ek laziz sher ho jae.......,
kia ankhen hay kia chera tm ne paya
esa lagta hay k jese
pepal k paer se bhoot uter aya
may ho yaha tu hay waha
may ho yaha tu hay waha
life boy hay jaha tanduriste hay waha
itna khoobsurat kese muskura lete ho
itna qabil kese sharma leti ho
itni asani se jan leti ho
kisi ne sikaya hay
ya bachpan se hi stupid ho
shayad mere piyar ko test karna bhool gai tm
dil se esa cut kia k paste karna bhool gai tm
sirf chane se bat nahi hote
sooraj k sath kabi raat nahi hote
hm jese chatay han jan se bhi ziyada
sameney to hotay han lekin bat nahi hote
No comments:
Post a Comment